DUA
Submitted by : admin on Non English Poems New
ya Ilahi maaf kar mujh gunaahgar ko
bhool gayi thi dunya me aakar mai apne madadgar ko
namazon ki ghaflat se badnoor hua chehra
gunahon ke andhere mduba raha dil mera
na socha tha ke ek din jab maut lene aayegi
jab zindgi meri mujhe akela chod jayegi
jab qabr mujhe meri apne paas bulayegi
tab mujhe apni ghaflat e namaz yaad ayegi
yaad ayega ke mere pas bhi tha wo sacha iman
thi to mai bhi kehne ko ek musalman
par afsos hoga ke us waqt mera saathi tha shaitan.
Allah mere Maula mere mujhe tu maaf kar
gunahon se bhare napaak daman ko saaf kar
meri dua me bhar tu is qadar asar
ke khud meri qabr kare mujh par fakhar
quran jisme bahe wo khoon ata kar
Sahabiyon ke jaisa junoon ata kar
ke kal ko agar iman ke khatir katwana pade sar
to ho jaaoon hazir mai be khauf or be dar
bhar de meri jholi ko nekiyon ke noor se
rize se, zakat se, or namaz e kohinoor se
na chahiye paisa,na chahiye daulat
bas sabke dilon me aa jaye khauf e qayamat
ke kafiron de de ya Rab tu hidayat
dikha de mujh ko bhi tu wahi nek gali
jis par chal kar bande tere ban jate hain wali
neki karoon neki or pakki ibadat
ke mai bhi karoon panjatan se sachi mohabbat
mera ye khali pitara tu aise bhara de
or ek baar Allah hazri e madinah kara de
namazi ye namazein kabhi bhi na chode
or be namazi apna rukh namaz ko mode
agar zindgi meri nek kamon me guzar jaye
akhir waqt me maut mujhe kalma padhae
chehra mera roshan e noor ho jaye
to maksad e zindgi bhi bharpoor ho jaye
ata nahi mujhko aadaab o saleeqa
tere aashiqon ki tarah dua ka tareeka
par jhuka ke aaj sar or jhuka ke ye nazar
mai kahoongi ke ae ilahimeri ye dua qubool kar
meri ye dua qubool kar
meri ye dua qubool kar
-written by maria nizami