GIRL

Submitted by : admin on Non English Poems New

LADKI(a poem written by me)
socha tha k mai bhi dunya me jaungi
raat ke andhere me shafak ka ujala laaungi
andheri dunya me khursheed ka jugnoo laungi
banjar zameen ke liye tohfa e gulaaab laungi
pyase kaanto ke liye aab laaungi

tumhari aankhon se dunya dekhti thi maa
tumhare haathon se mehsoos karti thi
tumhari god me sona chahti thi
apne haathon se phoolon ko choona chahti thi
maa ki aankhon ka wo pyaar chahti thi
mai apna dunya me istaqbaal chahti thi
maa ki aankhon ka wo pyar chahti th
jo har maa rakhti hai aulaad ke liye wo bahar chahti thi

socha tha tum bhi hogi itni hi be sabar maa
dekhna chahti hongi mere
chote chote rukhsaaron pe laal laal lali
chote chote kanon me choti choti baali
chote chote nainon mein kala kala kajal
nanhe nanhe hathon me rangbirange badal

magar ye nanha sapna ek khwab ban kar reh gaya
mera pyar pyar tere liye aazaab ban ke reh gaya
jab meri aankhein dunya mein aake khuleen
tu mujhe thi zinda dafnane chali
par koi baat nahi maa wo tera pyaar hi to tha naa
bas yahi soch kar dil ko chup karaya
ke ye mera paalna hai jo tune hai banaya
andhere se nikala andhere me daala
pyaar ke pyase dil ko pyasa hi maar dala
ek baar dunya dekne to deti maa
mujhe 'maa' kehne ka haq to deti maa
tu bhi to ek ladki hai na?
to kya hua agar mai bhi ladki thi maa?

chahe tu mat karna meri fikar
chahe kisi se mat karna beti ka zikar
bas ye batla de maa k kisko dil ka haal sunauu?
kiske aage rou mai kaise chillau?


is kali dunya me mai kisko maa bulaau?

Search
Who is new
Anya80pr
ClydeEpiva
KarenBlest
WilbertGailm
StevenBiz
Recent Online Users
Abufawzaan
jhk